Wednesday, January 26, 2011
Ek Fakiri ka Saaya hain !
Andhero ki roshni mein.. gehre sanaato ke aawaazooe mein, Saath mein sabke tanha tanha.. Ek fakiri ka saaya hain.
Simte simte jite hue.. Barso hue kal parso,
'Kehne ko kuch' bhi na badla.. par joh badle woh toh kuch hi the.
Jinpe jiya tha har lamha..aaj woh 'kehh ke kuch' ruksat hue,
Mera saaya saath le chale woh.. Ek saaya bakh hai fakiri ka,
Saath mein sabke tanha sa hu mein.. Aur ek fakiri ka saaya hain.
Chalte chalte barso hue.. Yeh toh shuruwat si hai,
Girte girte har baar saans si ruki hai.. Phir se jina is waqt ne sikhaya hai,
Ek haath ke isharaon se.. Ek kadam aur chalta gaya,
Aur phir ruk sa gaya.. Aaj bhi jab piche mud ke dekhta hun.
Kuch yaadein.. kuch choti si galtiyan hain,
Kuch apne bhi piche khade hai.. Kuch kuch khud ko bhi piche chod aaya hun.
Saath mein bas ek fakiri ka saaya hain..
Subscribe to:
Posts (Atom)